Phonepe Se Loan Kaise Lete Hain – Janiye Puri Jankari

Share this post

Agar aap bhi PhonePe se loan lena chahte ho to dosto yaha par humne bataya he ki PhonePe se loan kaise lete hai. PhonePe Instant loan with 0% interest rate, PhonePe Loan lene ke liye online Apply kaise karte hai.

Namaskar dosto aapka swagat hai Sohohindi blog me. Aaj hum aapko batayege ki PhonePe se loan kaise lete hai. Phonepe se loan kitna milega, PhonePe se loan lene ke liye apko kon kon se Documents dene hoge, PhonePe se aapko kitne dino ke liye Loan milega yah sabhi jankari aapko yaha par milne wali hai.

Dosto yadi aap PhonePe se Instant loan lena chahte hai to is post ko end tak padhe yah post aapke liye bahut helpful ho sakta hai + Aapko isme Loan se sambandhit kai sari jaruri bhi milne wali hai So ise pura padhe.

PhonePe About

Dosto yadi is app ko jante hai to achhi baat hai yadi nahi jante to me aapko batana chahuga ki is PhonePe app se hum Online Transaction, Recharge, Bill Payment etc kar sakte hai. Iske alawa hum PhonePe se online payment kar sakte hai aur Payment le bhi sakte hai. Phonepe ki madad se aap Recharge + Online Offline kisi Store par payment kar sakte hai. PhonePe app hamare kai sare kaam ko aasan bana deta hai. To dosto aaj hum janege ki PhonePe se loan kaise le.

PhonePe Se Loan Kaise Le?

Dosto phonepe se loan lene ke liye aapko sabse pahle Phonepe app ko Play store download karna hai fir apna mobile number dal kar Ragister kar lena hai. Iske bad aapko Apna bank account bhi isme add karna hai. Yadi aapne pahle se hi PhonePe app download karke Ragister kar rakha he to yah aur bhi achhi baat hai.

Ab aapko Play store me jakar Flipkart App download karna hai. Ise download karne baad aapko apne vahi number se Ragister kar lena hai jis number aapne PhonePe par ragister kiya tha.

Ab aapko Flipkart app ko open karna hai fir aapko vaha par Flipkart Pay Later ka options dekhne ko milega us par click karke usse Activate kar lena hai.

Jaise hi aap Pay leter Activate par click karoge to aapko vaha par Documents upload karne hai.

Aapko kon kon se Documents upload karne he chaliye hum aapko bata dete hai.

PhonePe Loan Lene Le Liye kon kon se Documents dene hoge

Documents

1. Adhar Card : Aapke Adhar card me vahi mobile number link hona chahiye jo aapne PhonePe par ragister kiya hoga.
2. Pan Card
3. Cibil Score : Aapka Cibil Score 600 se adhik hona chahiye

Dosto aapko bas itne hi documents upload karne he.

Fir aapko 1000 se lekar 5000 tak ka Loan amount mil jayega.

Iske baad aapko apna PhonePe khol lena hai. Ab My Money par click karna hai fir aapko loan PhonePe me le lena hai.

Ab aap is liye hue loan ko kahi par bhi istemal kar sakte ho.

PhonePe Se liye hue Loan ko kaha kaha par use kar sakte hai

Aap is liye hue loan ko kahi par bhi use kar sakte hai jaise ki Credit Card, Recharge, Mobile Bill, Electricity Bill Payment, Flipkart shopping aur online offline store mi bhi Payment kar sakte hai.

Lekin dosto me apko ek baar kehna chahuga ki is loan ko aap apne bank account me nahi le sakte ise aap sirf PhonePe par hi use kar sakte hai.

PhonePe Loan Interest Rate

Dosto yadi aap PhonePe se loan lete ho to aapko isme Interest Rate 0% lagega. Yah loan apko without interest rate mil jayege vo bhi 45 dino ke liye.

Dosto ye loan sabhi ko mil sakta hai aapko bas yaha par diye gaye steps ko follow karna hai. Is loan se aap apni Chhoti chhoti problems ko badi asaani se solve kar sakte hai.

Aapko is Loan ko 45 Days ke baad apne Dedit card, net banking or UPI se pay karna hoga, Agar aap limited days ke andar pay nahi karoge to aapke Cibil Score par effect pad sakta hai aur aapko dusri baar loan lene me dikkat ho sakti hai ya aapko loan nahi bhi diya jayega.

To dosto aapne is post me jana ki PhonePe se loan kaise milta hai. Iske alawa yaha par aapko Loan se sambandhit sabhi prakar ki jaruri jankari mil gayi hai. To dosto aapko yah post kesa laga umeed he yah aapko jarur pasand aaya hoga to yaro is post ko aage ho sake utna share kare taki aapke dosto ko bhi yah jankari mil sake ki PhonePe se loan kaise liya jata hai.

Leave a Comment