Paytm se loan kaise le – Paytm personal loan upto 2 lakh

Share this post

Dosto Agar aap bhi Paytm se loan lena chahte hai? to dosto yaha par humne bataya he ki paytm se personal loan kaise lete hai. Paytm se loan lene ke liye online apply kaise karte hai. Paytm se 1000 se lekar 2lakh tak personal loan mil jayega vo bhi bahut kam byaj par.

Namaskar dosto aapka swagat hai Sohohindi blog me. Aaj hum aapko batayege ki Paytm se loan kaise lete hai. Paytm se loan kitna milega, Paytm se loan lene ke liye apko kon kon se Documents dene hoge, Paytm se aapko kitne dino ke liye Loan milega yah sabhi jankari aapko yaha par milne wali hai.

Dosto yadi aap Paytm se Instant loan lena chahte hai to is post ko end tak padhe yah post aapke liye bahut helpful ho sakta hai + Aapko isme Paytm Loan se sambandhit kai sari jaruri jankari bhi milne wali hai So ise pura padhe.
Paytm About

Dosto yadi is Paytm app ko jante hai to achhi baat hai yadi nahi jante to me aapko batana chahuga ki is Paytm app se hum Online transaction, Recharge, DTH recharge, Movie tickets, Postpaid bill payment, Bill Payment etc kar sakte hai.

Iske alawa hum Paytm se online payment kar sakte hai aur Payment le bhi sakte hai. Paytm ki madad se aap Recharge + Online Offline kisi Store par payment kar sakte hai. Paytm app hamare kai sare kaam ko aasan bana deta hai.

Paytm se loan kitna milega?

Yadi aap kisi bhi company se ya bank se loan le rahe to pahle aapko yah jarur pata kar lena chahiye ki aapko vaha par kitna loan mil sakta hai.

Dosto Paytm aap se aapko 1000 se 2 lakh tak ka personal loan mil jayega.

Paytm se loan kitne samay ke liye milega?

Dosto agar aap Paytm se loan lete hai to liye hue loan amount ko repayment karne ke liye aapko 4 – 36 Mahino tak ka samay diya jata hai.

Paytm loan interest rate – Paytm se loan lene par byaj kitna lagega?

Paytm se loan lene par aapko 0.09% – 13% bjay prativarsh lagega. Isme aapko bahut kam Interest rate par loan milta hai.

Paytm loan benefits

Paytm se aapko jyada amount ka loan milta hai.
Paytm se loan bahut kam interest rate par milta hai.
Bahut kam documents par aapko loan milta hai.
Paytm se loan aap online le sakte hai, is loan ko lene ke liye aapko kisi office me janeki jarurat nahi hai.
Har ek Paytm user ko yah loan mil sakta hai.

Paytm se loan kon kon le sakta hai?

Aap bhartiya nagarik hone chahiye
Aapki age kam se kam 18 sal honi chahiye aur jyada se jyada 46 sal honi chahiye
Aapka cibil score achha hona chahiye
Aapke pas kamai ka jariya hona chahiye loan repayment karne ke liye

Paytm se loan lene ke liye kon kon se Documents dene hoge?

Dosto Paytm se loan aapko bina kisi documents ke mil jayega. Agar aapne Paytm me kyc kar rakhi he to isme aapko bahut kam details dalne par loan mil jayega.

Yadi aapne Paytm me KYC nahi kari hai to isme aapko apna mobile number, Adhar card or pan card dal kar kyc kar leni hai.

Paytm se loan lene ke liye aapko sirf apna Pan Card number dalna hoga.

Paytm se loan kaise le

  • Sabse pahle Paytm app ko Play store se download kare
  • Iske baad Apna mobile number dal kar Ragister kare (agar aapne Paytm me Full KYC kar rakhi hai to aur bhi achhi baat hai)
  • Iske baad aapko Paytm me “Loans and Credit Cards” ka options dekhne ko milega
  • Aapko Personal loan par click karna hai
  • Iske baad aapko apna Pan Card number aur date of birth dalna hoga
  • Fir aapko apni sabhi Details dalni hogi
  • Iske baad aapko jitna loan amount chahiye utna select karna hai
  • Iske baad aapko Kyc Verification kar lena hai
  • Fir aapko Bank Account details dalni hogi jis bank account me aapko loan amount chahiye
  • Iske baad aapki application under Review me chali jayegi
  • Iske baad 24 hour ke bich aapka loan approved ho jayega
  • Fir loan amount aapko apne Bank account me mil jayega

Fir aap loan amount ko kahi par bhi use kar sakte hai.

To dosto aaj aapne is post me jana ki Paytm se loan kaise milta hai. Iske alawa yaha par aapko Paytm Loan se sambandhit sabhi prakar ki jaruri jankari mil gayi hai. To dosto aapko yah post kaisa laga umeed he yah aapko jarur pasand aaya hoga. Dosto is post ko aage ho sake utna share kare taki aapke dosto ko bhi Paytm se loan lene ki jankari mil sake.

Leave a Comment